Agli baar chaand se keheingay,
Humari jaagti aankhon ko yun dhokha na de,
Unn baadalon kee aad mein nahin,
Inn intezaar karti aankhon ke saamnay chhupay
Saari shaam aasmaan koraa sa phaila tha
Aur chaand yun khushi se jagmagaata raha –
Aaj toh woh chhupega, phir aur khoobsoorat lagega.
Grahan aaya, aur aa kar jaa bhi chuka.
Gaddaar baadal aa gaye beech
Chaand ko jaisay chaadar odhanay
Agli baar chaand se kaheingay
Humari aankhon ke saamnay chhupay.
Phir hum chaand dhoondh kar laayeingay.